Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta Munderon Se Chiraghon Ko Bojha Kar Kuch Nahi Milta Hamari Soch Ki Parwaz Ko Roke Nahi Koi Nae Aflaq Pe Pehrey Bitha Kar Kuch Nahi Milata Koi Ek Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta Hai Hazaro Khawab Aankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta Sakon Un Ko Nahi Milta Kabhi Pardes Ja Kar Bhi Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ki Jhalar Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta Ye Acha Hai Ke Aapas Ke Bharam Na Tootane Paien Kabhi Bhi Doston Ko Azamaa Kar Kuch Nahi Milta Na Jane Koun Se Jazabe Ki Yon Taskeen Karta Hon Bazahir To Tumhare Khat Jala Kar Kuch Nahi Milta