Insha Ji Utho Ab Kooch Karo is shehar me ji ko lagana kia Wehshi ko sakun se kia matlab jogi ka nagar me thikana kia Is dil kay warida daman ko dekho to sahi soho to sahi Jis jholi me so ched huwe us jholi ka phelana kia Shab beti chand bi doob chala zanjeer pari darwaze me Kyun der gaye ghar aye ho sajni se karo ge bahana kia Phir hijar ki lambi rat mian sanjhok ki to sahi aik ghari Jo dil me hai lab pe anay do sharmana kia ghabrana kia Us roz jo in ko dekha hai ik khwab ka alam lagta hai Us roz jo unse bat huwe wo bat bi thi afsana kia? Us husan k sachay moti ko ham dekh saken par chu na saken Jise dekh saken par chu na saken wo dolat kia wo khazana kia? Is ko bi Jala dukhte huwe man Ik shola lal bhabhoka ban Yun ansoo bn beh jana kia? Yun mati me mil jana kia? Jab shehar k log na rasta den Kyun ban me ja basraam kre Diwano si na baat kre to aur kre diwana kiya?