Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta
Munderon Se Chiraghon Ko Bojha Kar Kuch Nahi Milta
Hamari Soch Ki Parwaz Ko Roke Nahi Koi
Nae Aflaq Pe Pehrey Bitha Kar Kuch Nahi Milata
Koi Ek Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta Hai
Hazaro Khawab Aankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta
Sakon Un Ko Nahi Milta Kabhi Pardes Ja Kar Bhi
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta
Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ki Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Ye Acha Hai Ke Aapas Ke Bharam Na Tootane Paien
Kabhi Bhi Doston Ko Azamaa Kar Kuch Nahi Milta
Na Jane Koun Se Jazabe Ki Yon Taskeen Karta Hon
Bazahir To Tumhare Khat Jala Kar Kuch Nahi Milta