Koi manzil nahi jachati safar accha nai lagta Agar ghar laut bhi aau to ghar accha nahi lagta Karu kuch bhi me ab duniya ko sab accha hi lagta hai Mujhe kuch bhi tumhare bin magar accha nahi lagta Wahan Na Phool khilte hain Na hi Mosam Badalte hain Wahan to Kuch nahi hota jahan par TUM nahi hote Yahan wese to Her Sogaat asani se milti hai, Par Mera DIL Nahi lgta Jahan par TUM nahi hote… Sard mausam ka maza kitna alag sa hai, Tanha raat mein intazaar kitna alag sa hain, Dhund bani naqab, aur chupa lia sitaron ko, Unki tanhaai ka ab ehsas kitna alag sa hai Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati Ajib Log Hai Is Zamane Mein Koi Bhul Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati Taras gaye hain apke didar ko, Fir b dil aap ko hi yaad karta hai, humse khusnsib to apke ghar ka aina hai, jo har roz apke husn ka didar to karta hai. Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam, sulagta raha dil ke andar akeley, Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke, Magar guzarta nahi ab December akeley.. Jaane Uss Shakhs Ko Kaisa Yeh Hunar Aata Hai; Raat Hote He Ankhon Mein Utar Jaata Hai; Mein Uski Yaad Se Nikloo, Toh Kahaan Jaun; Woh Meri Soch Ki Har Dehlez Pe Nazar Aata Hai! Jeene k lye dard ka samaan bohat hai, Kuch roz se apna dil pareshan bohat hai, Milte hain shabo-roz sabhi log hum se, Aik tujh se mulakat ka arman bohat hai. Dosti Ki Dastaan Jab Waqt Sunata Hai Hame Bhi Koi Yaad Aata Hai Bhool Jate Hai Jindgi Ke Sare Gamoo Ko Jab Apke Saath Gujra Hua Pal Yaad Aata Hai. Aye dil tu kyu rota hai use yaad karke, Wo to chale gaye tujhe barbaad karke, Ab wo tere nahi kisi aur ke hai, Kya milega unke dar per baar-baar fariyad karke. Jis Par Naaz Tha Mujhe Khuda Se bhi Zyada, Wo Mera Pyaar Aaj Afsana Sa Ho Gaya, Teri Yaadon Ko Is Tarah Kaid Kiya Khud Mein, Dil, mera Dil Nahi Raha Ek kaidkhana Sa Ho Gaya. Teri aarzo mein deewana ho gaye, Tujhe apna banate-banate begane ho gaye, Kar le ek baar yaad dil se mujhe, Tere dil ki awaaz sune zamane ho gaye. Kuch log yaado ko dil ki tasveer banate hai, Dosto ki yaadon mein mehfil sajate hai, Hum thode alag kism ke insaan hai jo kisi ko, Yaad aane se pehle unko apni yaad dilate hai. Riste nibhane ka andaz aana chahiye, Yaad karne ka koi bahana aana chahiye, Tum roj sms kare na kare aapko, Par ek pyara sa sms aapki taraf se roj aana chahiye. Soch kar uske baare mein muskarate hai ham, Khud ko hi roz nayi kahani sunate hai ham, Jab bhi yaad karte hai usko, Saari duniya ko us waqt bhul jaate hai ham. Shikayat hai aapse dil ki hamari, Kya ab yaad nhi aati aapko hamari, Bhul hi gaye hamein shayad aap, Ya fir aap yaad karte the ye galatfaemi thi hamari. Jab beete hue lamhon se mulaaqat hui. Kucch toote hue sapno se baat hui. Yaad jo karne baithe un tamaam lamhon ko, To aapki yaadon se shuruaat hui. Gamon Me Bhi Muskurana Chahta Hun Main, Tumhe Bhulakar Nayi Duniya Basana Chahta Hun Main, Magar Na Jane Queen Nikal Aate Hai Aansu Jab Bhi TuMhe Bhulana Chahta Hoon Main… Yaadon man teri yaad thi Kia yaad tha, kuch yaad nhi Teri yaad main sab bhol gay Kia bhol gy kuch yaad nhi Yaad ho tm, bs yaad ho tm Q yaad ho tm, kuch yaad nhi Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai, Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai, Use pana nahi meri taqdeer mein shayad, Phir har mod pe usi ka intezaar kyon hai.! Jaane Uss Saks Ko Kaisa Yeh Hunar Aata Hai; Raat Hote He Ankhon Mein Utar Jaata Hai; Mein Uski Yaad Se Nikloo, Toh Kahaan Jaun; Woh Meri Soch Ki Har Dehlez Pe Nazar Aata Hai! Kitni jaldi mulaqat guzar jaati hai, Pyaas bujhti nahin barsat guzar jaati hai. Apni yaadon se keh do is tarah naa aaya kare, Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai. Is raat ki tanhai se, Is dard ki gehrai se, Ye dil kuch baat ker raha hai, Samjho in lafzon ki chuban ko, Koi dil se tumhe yaad ker raha hai. Kuch rishte iss jahan mein khas hote hai, Hawa ke rukh se jinke ehsaas hote hai, Yeh dil ki kashish nahi toh aur kya hai, Door reh kar bhi woh dil ke kitne paas hote hai… Hasin Palo ko Phir se aabad kar rahe the, Chand se Aapki baate kar rahe the Dil ko bada Sukun mila jankar Ki Aap bhi hame hi Yaad kar rahe the…!! Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein Ham Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein Ab Kaise Kahein Ham Tum se Ye Dost Teri Baatein Hame Har Pal Yaad aati Hai Teri Chhoti chhoti Baatein. Wafao me itna aasar to aaye. Jinhe dundti hai nigahe wo najar to aaye. Ham pahuch jayege palak jhapkne se pahle aapne yaad kiya hai ye khabar to aaye. Kisi ke Deedar k liye Dil tarasta hai, Kisi k Intzar mein Dil Tarapta hai, Kya kahein iss Dil-E-NADAN ko? Jo apna ho kar kisi aur k liye Dharakta hai… Hone ko is shehr mein kya kya nhi hota Hairat hai k ik shakhs humara nahi hota Jab uski achcchi guzarti hai bin hamare, To kyon hamara uske bin guzara nahi hota Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon? Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoon? Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tujhko… Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoon? Aap se milne ka maan kar raha hai, Maan ko samjaya to dil keh raha hai, Dil ko bataya to ankhe ro padi, Unhe chup kar diya to saanse bol padi. Kyon tujhi ko dekhna chahati hain meri aankhein, Kyon khamoshiyaan karti bas hain teri baatein, Kyon itna chahane laga hoon tujhko main, Ki taare ginte huye kat-ti hain meri raatein Tera khayal teri baat sath chalti hai, Yeh kaaynat mere sath sath chalti hai, Tamaam umar ka milna koi bhula bhi de, Magar woh pehli mulaqaat sath chalti hai, Bichadne lagta hai jab akhri musafir bhi, To ek mauj-e-khayalat sath chalti hai, Yeh kaisi raah pe dala hai waqt ne mujhko, Na koi din na koi raat sath chalti hai, Bohat aziz hai ankhon ko aansuon ki jhadi, Koi bhi rut ho yeh barsaat saath chalti hai. Bohat udaas hai koi shakhs tere jaane se, Ho sake to laut aa kisi bahaane se, Tu laakh khafa sahi magar ik baar to dekh, Koi toot gaya hai tere door jaane se Apni Zat Se Nikal Kr Tujhe Tanha Chahon, Malum Tujhe Bi Na Ho Tujhe Itna Chahon, Meri Har Saans Amanat Hai Teri, Ab Tu Hi Bata Or Tujhe Kitna Chahon Yaad aati hai to zara kho jaate hai, AAnshu aankhon main utar aaye to zara ro lete hai, Neend to nahi aati aankhon main lekin, Wo khawabon main aayenge yahi soch kar so lete hai Tumse doori ka ahsaas sataane laga, Tere saath gujara har lamha yaad aane laga, Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki ae dost, Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga Khwaab aankhon se gire aansu me dhal kar, Dam armaano ne toda dam machal-machal kar, Meri kismat me judaai likhi thi, Warna har kadam rakha tha Sambhaal-sambhaal kar Waqt guzar raha tha, Par saanse thami si thi, Muskura rahe they hum, Aankho mein nami si thi, Saath mere yeh jahaan tha saara, Par na jaane kyon kisiki kami si thi. Ankhon Ki Zuba Ko Samajh Nahi Pate Hont Hain Magar Kuch Keh Nahi Pate.. Apnay Dil Ki Bebasi Kis Tarah Kahen Hum Koi Hey Jiske Bagher Hum Reh Nahi Pate..!! Shikayat na karta zamane se koi, Agar maan jata manane se koi, Kisi koh phir yaad na karta koi, Agar bhool jaate bhoolane se koi. Yaadon ko teri hamne khone na diya, Ghamo ne bhi chup hone na diya, Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein, Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya. Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai, Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai, Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai, Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai, Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai, Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai. Aap ka ashiyana dil mein basaya hai, Apki yadon ko seene se lagaya hai, Pata nahi yaad aapki hi kyon aati hai, Dost to hamne auron ko bhi banaya hai. Logon Ki Bheed Mein Toh Maloom Nahi Hota, Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai, Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi, Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai. Aksar gumsum rehnewala nagma hu main, Aapki yaado me rehnewala lamha hu main, Aap meri jaan ho to ek baat batao, Aapke hote huye bhi kyu tanha hu main. Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai, Aise hi Mohabbat ki shuruwat hoti hai, Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum, Pata nahi kab din kab raat hoti hai. Aapko bhul jaye wo nazar kaha se laye, Kisi aur ko chah le woh jigar kaha se laye, Nahi reh sakte aap ke bina, Uff bhi na nikle wo Zeher kaha se laye.. Search Terms : Top 50 Missing You Shayari — Yaad Shayari For Girlfriend And Boyfriend, Best Hindi Shayari Collection, Most Selected Shayaris, Missing You Shayari In Hindi, Miss You Shayari In Hindi, Miss You Very Much Shayri In Hindi, Yaad Shayari, 4 Lines Shayari In Hindi, Four Lines Shayari In Hindi, 4 Lines Hindi Poetry, Hindi Poetry In 4 Lines, Missing You Poetry In Hindi, Yaad Poetry In Hindi, Remembering You Shayari, Remembering You Poetry, Shayari For Missing Someone You Love, Shayari For Missing Your Friend, Shayari For Missing Your Girlfriend, Shayari For Missing Boyfriend, Shayari For Missing Someone You Love, Girlfriend Ki Yaad Mein Shayari, Friend Ki Yaad Mein Shayari, Shayari When Remembering Lover, Shayari When Remembering Life Partner, Premi Ki Yaad Mein Shayari, Premika Ki Yaad Mein Shayari, Missing You Sher O Shayari, Miss You Shairy, Miss You Shayri, Best Hindi Poetry In 4 Lines, Awesome Shayari In Hindi, Ultimate Shayari Collection, Very Selected Hindi Shayari, Shayari When Crying In Love, Shayari When Missing Absence Of Girlfriend, Beautiful Shayari In Hindi, Missing You Shayari In Urdu, Hindi Shayari In Roman English, Shayari When Requesting Girlfriend To Back, Shayari 4 Line Mein. Insan Tab Samjhdaar Nahi Hota Jab Wo Badi Badi Baatein Karne Lage, Balki Samjhdaar Tab Hota Hai, Jab Wo Chhoti Chhoti Baatein Samjhne Lage!! Heart Touching Romantic Shayari Picture For True Lovers — Hindi Font Shayari On Happy Couple Wallpaper Mujhe Ab Bhi Mohabbat He… Teri Yaad se rishta kal bhi tha teri yaad se rishta aaj bhi hai, Dil apna dukhta kal bhi tha dil ye udaas aaj bhi hai Happy Propose Day Shayari In Hindi On Beautiful Heart Picture Boy Proposing A Girl With Rose Mohsin Shayari On Images : Ye Zaroori To Nahi Ke Bin tere ab chup chup rehna acha lagta hai, Khaamosh reh k is dard ko sehna acha lagta hai, Teri yaad mein aansu barastay hain saamne tere kuch na kehna acha lagta hai, Mil k tujh se bichar na jaun kahin, Is liye bus door hi rehna acha lagta hai, Tera milna na milna muqaddar ki baat hai, Pal pal Teri yaad mein tarapna acha lagta hai, Bin tere tamaam khushiyan ajib lagti hain, Ro ro k Teri yaad mein sona acha lagta hai…. Ladki… Happy birthday Ladka… Thank you baby Ladki… M tumare ghar p 7:30 augi Ladka…. Thik h baby Ladka… 7:30 se 8:30 ek ghante ladki ka intjar kiya or ladki nhi aai Ladki… 8:31 p ladke se Milne aai Ladka … Itna der Ku lagaya Ladki… Rashte m trefik bahut tha Ladka… Koi bat nhi baby chalo dinner karte h tab tak ladki ki ma ka phone aagya or vo ro rhi thi ladke n ladki ki ma se pucha aap ro Ku rhe ho Ladki ki ma… Boli ki beta m hospital m or jor se Rone lagi Ladka… Aap ro Ku rhe ho Ladki ki ma… Beta meri beti ka exident ho gya h ham logo n bahut kosis kiya lekin use bacha nhi paye Ladka… Ladki ki taraf dekhne laga Ladki… Adhere ki taraf hath m candle liye ja rhi thi or boli I Love you baby mene apna wada pura kiya……….. I love u so much NANCY Humko to har pal tumhari yaad satati hai Parrrrrr tumhe hamari yaad kyon nahi aati hai Yh dil aaaaaaj bechain hai kitna Samundar meeeee Lehron ka bahav hai jitna, I really miss u so much Nancy ….. Main Dua Mein Tujhe Manga Hu, Magar Wafa Se Manga Hu..!! Kabhi Sajde Mein Jakar Pucho Apne Rab Se, K Maine Kis Kis Ada Se Tumhe Manga Hu..!! Agar tum Sacha pyar karthy ho tho inthazaar kar use liye thab thak… jab thak kuda ye jane….. Aaj subah se pta nhi tumhari yad mujhe bhot tadpa rhi he. Boy- kuch der chup hokar I miss u 2 jiya thoda ruk kr Tina kya aap abhi mere pass aa skte ho. Girl- ha mera bhi dil apse milne ko krr rha he. Boy- me hospital me hu. Girl- ghabrate hue kya hua apko. Ladki turant fon kat ladke ke pass phuchti he. Ladka behos hota he hospital me ladki ladke ke papa se puchti he. Girl- kya hua sanjay ko uncle. Ladke ke papa- beta aap sanjay ko jante ho. Girl- ha me sanjay ki best frnd hu. Ladke ke papa- thoda sad hokar halki avaj me sanjay ko blood cancer he. Boy- papa koi milne aya he kya mujhse. Papa- ha beta tumhari koi Best frnd aayi he. Boy — plz papa kya me use akele me kuch bat krr skta hu. Papa — me use bhejta hu. Ladke ke papa bahar chale jate or ladki ko bolte he beta sanjay apko bula rha he. Ladki sunte hi turant apna bag jmin par fek ladke ke room ki tarf daud jati he. Room ke drvaje prr phuch krr thoda ruk jati he or apne aansu poch kr room me ese jati he jese use kuch pta na ho Girl- Sanjay aap thik ho abhi. Boy- Tina aap aa gye na bss abb me thik hu. Girl- rona chahti he prr vo ladke ke samne apne apko smbhal krr beth jati he. Ha aap jaldi thik ho jaoge. Boy- muskura krr tina kal fir college ki piche vali sitt prr bethenge orr ha aap mujhe jyada mat dekhna kal only studyy okk. Aap to Pagal ho hmesa khud study nhi krte orr na hi krne dete ho. Girl- asnkho se ashu niklte he prr khi ladka na dekh le isliye apni chunni se poch deti he orr halki si muskan ke sath Ha Sanjay kal aap studyy krr lena nhi dekhungi aapko okk Boy- halki avaj se jiya Girl- ha bolo Boy-apne hmesa mera kitna khayal rkha h na. Girl - apne ashu nhi rok pati or rone lagti he Boy- kya hua tina me thik hu plz mat rona tina aap. Girl- me nhi ro rhi bss aap ko meri bhi umar lgg jaye apko kuchh nee hone dungi…. Girl- akho se ashu girate hue plz esa na bolo Plz Boy-bss thodi der so lene do Tina bhot skun mil rha he kya pta kbhi mouka meele na meele Girl- so jao aap. Boy- Tina I will Always miss you. Or dekhte he ki unka pyara beta sanjay uski best frnd ki baho me dam tod chuka tha. Or uss ladki ki bhi saase tham chuki hoti he. Agar aapne bhi kisiko chaha h to apko kasam h unki Ise ita share kro ki jo bhi ise pde Ek bar to uski aakho me aansu aa hi Jaye.